Khvahisho ki khidki khol ke subah jaldi uthta hu,
Vahi he routine bus,bus me dhakae kha kar sadta hu,
Fir bhi late ho kar harroj teacher ki dantt khata hu,
Class me bethkar nindo ki chidya udata rehta hu,
Fir bhi apna career banana me laga hu,
Subah banaya huva nasta dopahar ko araam se khata hu,
Class me bethe bethe homework ki lambi list banate rehta hu,
Topic aaye ya na aaye fir bhi top pe pahochne ke sapne sanjota hu,
Exam ki tension me har bar alarm set karke hi sota rehta hu,
Fir bhi second class la ke khush rehta hu,
Bahar ki duniya ko yohi aate jaate dekhta hu,
Fir library me bethkar uspe hi research karta hu,
Shararate chod ke kabhi kabhi nirash ho jataa hu,
Jub pocket money ekdum se khatam kar deta hu,
Are yaar student hu,
Fir bhi duniya ko apna dum dikhane me laga hu.

 

By : Tushar kher (SEM I)